chale jaenge sab asbab hairani na jaegi
kisi surat dil-o-jaan ki ye arzani na jaegi
so ab tai hai na jaengi ye dil ki wahshaten jab tak
ragon mein is umaDte KHun ki tughyani na jaegi
sabab ye hai ki pahle ho chuka hai faisla so ab
gawahi di to jaegi magar mani na jaegi
tujhe us dar se lena tha naya ranj-o-alam har pal
dil-e-wahshat-asar teri tan-asani na jaegi
khula ye KHun ki wahshat hai so main mar to sakta hun
mere andar se lekin KHu-e-sultani na jaegi
mayassar aaengi har pal bahut aasaishen lekin
mujhe malum hai ab dil ki virani na jaegi
Ghazal
Chale jaenge sab asbab hairani na jaegi
Mubeen Mirza