chale hae dam bhar ko mehman ho kar
mujhe mar Dala meri jaan ho kar
ye surat hui hai ki aaina pahron
mere munh ko takta hai hairan ho kar
jawan hote hi le uDa husn tum ko
pari ho gae tum to insan ho kar
bigaDne mein zulf-e-rasa ki ban aai
liye ruKH ke bose pareshan ho kar
karam mein maza hai sitam mein ada hai
main raazi hun jo tujh ko aasan ho kar
juda sar hua par hue hum na halke
rahi tegh gardan par ehsan ho kar
na aaKHir bacha parda-e-raaz-e-dushman
hua chaak mera gareban ho kar
hawas aate jate rahe roz-e-wada
teri yaad ho kar meri jaan ho kar
buton ko jagah dil mein dete ho tauba
'jalil' aisi baaten musalman ho kar
Ghazal
Chale hae dam bhar ko mehman ho kar
Jaleel Manikpuri