chale but-KHane ko KHuda-hafiz
tum bhi zahid kaho KHuda-hafiz
tere kuche se pech uTha ke chale
gesu-e-mushkbu KHuda-hafiz
dam-e-isa se bhi shifa na hui
lo bas ai hamdamo KHuda-hafiz
hai bahut zud-ranj dil mera
yar hai tund-KHu KHuda-hafiz
us sanam ko KHuda kahun na kahun
hai suKHan gu-magu KHuda-hafiz
dil ko but-KHana kar ke kabe chale
zahido zahido KHuda-hafiz
hai firangan ke gore hath mein dil
jaan ka sahibo KHuda-hafiz
dair se misl-e-nala-e-naqus
jate hain ai buto KHuda-hafiz
baat bhi ki to ye kaha shab-e-wasl
jaen hum tum kaho KHuda-hafiz
shah-e-KHuban ke gham mein jaan chali
ai 'wazir' ab kaho KHuda-hafiz
Ghazal
Chale but-KHane ko KHuda-hafiz
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi