اردو हिंदी
Chale bazm-e-dauran se jab zahr pi ke | Shaahi Shayari
chale bazm-e-dauran se jab zahr pi ke

Ghazal

Chale bazm-e-dauran se jab zahr pi ke

Aleem Masroor

;

chale bazm-e-dauran se jab zahr pi ke
baDhe hausle aur bhi zindagi ke

fasanon se meri hi aawargi ke
muayyan hue raste zindagi ke

zamane ko dun kya ki daman mein mere
faqat chand aansu hain wo bhi kisi ke

nigah-e-karam ki zarurat nahin hai
zara dekh lun be-sahaare bhi ji ke

hain 'masrur' aankhen tumhaari jo pur-nam
batao ye aansu hain gham ya KHushi ke