اردو हिंदी
Chale aao agar dam bhar ko tum to ye jata rahe fil-faur maraz | Shaahi Shayari
chale aao agar dam bhar ko tum to ye jata rahe fil-faur maraz

Ghazal

Chale aao agar dam bhar ko tum to ye jata rahe fil-faur maraz

Mirza Asman Jah Anjum

;

chale aao agar dam bhar ko tum to ye jata rahe fil-faur maraz
ki nahin hai ba-juz bimari-e-gham meri jaan mujhe koi aur maraz

nahin kahta main tum se ki chaara karo magar aa ke kabhi kabhi dekh to lo
ki samajhta nahin hai tabib koi hai tumhaare hi qabil-e-ghaur maraz

mere isa-dam mere be-parwa na ilaj se mere hath uTha
nahin bachne ka ye mariz tera ki hai baDhta chala be-taur maraz

nahin is ka tajjub yaro agar mere dil mein dard ho rah rah kar
kare ghaflat isi-e-dauran jab tu na bandhe kyun-kar daur maraz

tujhe 'anjum' dard-e-firaq bhala kyun chain se uThne baiThne de
wo masih na jab kuchh rahm kare kare kyun na jafa-o-jaur maraz