chalan is doghli duniya ka gar manzur ho jata
wo mujh se dur ho jata main us se dur ho jata
hunar hathon se chikne ka bacha kar le gaya mujh ko
bharose panw ke rahta to main mazur ho jata
zamane-bhar ki baaton ko agar dil se laga leta
jahan pe dil dhaDakta hai wahan nasur ho jata
safar karte hue apna haTa kar aankh se paTTi
main sang-e-mil jo paDhta thakan se chur ho jata
ye 'fani' dil ki sunta hai tabhi gumnam hai ab tak
agar ye zehn ki sunta bahut mashhur ho jata
Ghazal
Chalan is doghli duniya ka gar manzur ho jata
Fani Jodhpuri