chala hun ghar se main ahwal-e-dil sunane ko
wo muntazir hain mera zabt aazmane ko
raqib sath hai aur zer-e-lab tabassum hai
ajab tarah se wo aaya hai dil dukhane ko
agarche bazm-e-tarab mein hawas ka ghalba hai
main aa gaya hun mohabbat ke git gane ko
main ja raha hun wahan jabki az-rahe-tafrih
saji hai bazm mera shauq aazmane ko
rawish rawish mein hai afsurdagi ki afzaish
wo phir bhi nikle hain tafrih-e-gul manane ko
junun-e-ishq mera jabki ek haqiqat hai
alag karunga main is ishq se fasane ko
main chahta tha mera ishq ek raaz rahe
wo aa gaya to KHabar ho gai zamane ko
wo jin se mujh ko tawaqqo thi pasbani ki
wo aa gae hain mera aashiyan jalane ko
janab-e-shaiKH ki ye wo ruKHi maaz-allah
hui hai shab to chale hain sharab-KHane ko
rah-e-hayat mein bahrupiyon se waqif hun
jo gham-gusar bane mera dil dukhane ko
jo be-KHabar hain sarapa wo phir rahe hain aaj
qadam qadam pe nai dastan sunane ko
jidhar nigah uThao rawan hai KHun-e-jigar
KHabar nahin ki ye kya ho gaya zamane ko
Ghazal
Chala hun ghar se main ahwal-e-dil sunane ko
Zahid Chaudhry