chala hawas ke jahanon ki sair karta hua
main KHali hath KHazanon ki sair karta hua
pukarta hai koi Dubta hua saya
larazte aaina-KHanon ki sair karta hua
bahut udas laga aaj zard-ru mahtab
gali ke band makanon ki sair karta hua
main KHud ko apni hatheli pe le ke phirta raha
KHatar ke surKH nishanon ki sair karta hua
kalam kaisa chaka-chaund ho gaya main to
qadim lahjon zabanon ki sair karta hua
ziyaada dur nahin hun tere zamane se
main aa milunga zamanon ki sair karta hua

Ghazal
Chala hawas ke jahanon ki sair karta hua
Anjum Saleemi