chala hai o dil-e-rahat-talab kya shadman ho kar
zamin-e-ku-e-jaanan ranj degi aasman ho kar
kiya viran chaman ko aae ho kya bostan ho kar
hue gul pani pani ye chali aab-e-rawan ho kar
isi KHatir to qatl-e-ashiqan se mana karte the
akele phir rahe ho yusuf-e-be-karwan ho kar
jawab-e-nama kya laya tan-e-be-jaan mein jaan aai
gaya yan se kabutar wan se aaya murgh-e-jaan ho kar
ghazab hai ruh se is jama-e-tan ka juda hona
libas-e-tang hai utrega aaKHir dhajjiyan ho kar
agar aahista bolun na-tawani kahti hai bas bas
sada-e-jumbish-e-lab dete hi sadme fughan ho kar
izar-e-atishin KHatt-e-siyah ek din nikalega
rulaega ye shoala meri aankhon ka dhuan ho kar
mukaddar ho agar lo mujh ko gaDo is taraf dekho
ki zer-e-KHak hun gard-e-nigah se na-tawan ho kar
kiya ghairon ko qatl us ne mue hum rashk ke mare
ajal bhi dosto aai nasib-e-dushmanan ho kar
phira sad-chaak ho kar kucha-e-kakul se dil apna
azizo yusuf-e-gum-gashta aaya karwan ho kar
kaman abru ki aise narm hai aaega jo nawak
rahega ustuKHwan mein apne maghz-e-ustuKHwan ho kar
chhuDai chus kar hum ne misi to kya hai sharmaya
lab us mahjub ka chhupne laga munh mein zaban ho kar
falak meri tarah aaKHir tujhe bhi pis Dalega
uDega ai huma ek roz gard-e-ustuKHwan ho kar
huma se hai kaDapan ai sag-e-jaanan jo tu khae
mulaem ustuKHwan ho jaen maghz-e-ustuKHwan ho kar
jahan jo chahiye waisi hi wo dikhlae nairangi
basar aankhon mein goyai zaban mein dil mein jaan ho kar
sitam kar us ke ye dekhe to KHun-rezi pe mail ho
kare sang-e-malamat tez KHanjar ko fasan ho kar
nahane mein jo lahraati hai zulf-e-yar dariya mein
taDapne lagti hain pani pe maujen machhliyan ho kar
udasi jhuk ke milte ho nigah se qatl karte ho
sitam-ijad ho nawak lagate ho kaman ho kar
uThaegi jo hum ko wahshat-e-dil yar ke dar se
girenge paezi panw pe apne beDiyan ho kar
kaha jo us ne chaha zoaf se yan lab nahin milte
subuk kar deti hain harf-e-suKHan bar-e-garan ho kar
asar baqi raha balbe shab-e-furqat ki tariki
charagh-e-rose se shoala nikal aaya dhuan ho kar
KHat-e-nau-KHez mein aariz jo tere chhupte jate hain
pari ban jaenge is sabz shishe mein nihan ho kar
gira qadmon pe said-e-na-tawan tha hath se chhuT kar
jagah de ab to naqsh-e-pae-e-sayyaad aashiyan ho kar
tere wahshi ko barson ai pari kab nind aati hai
agar KHwab-e-giran aaya bhi to sang-e-giran ho kar
'wazir' us ka hun main shagird jis ko kahte hain munsif
liya mulk-e-maani baadshah-e-shairan ho kar
Ghazal
Chala hai o dil-e-rahat-talab kya shadman ho kar
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi