chala hai le ke mujhe zauq-e-justuju mera
ab intizar kar ai jaan-e-arzu mera
main ban saka na tera ye baja sahi lekin
kisi ko kyun ye guman ho nahin hai tu mera
hawa-e-dasht bahut dur le gai akasr
nahin asir-e-chaman zauq-e-rang-o-bu mera
shikast-e-dil ki talafi nazar se kya hogi
Tapak paDe na teri aankh se lahu mera
meri ghazal ke liye kaun muntazir hai 'rawish'
pahunch gaya hai kahan shauq-e-guftugu mera
Ghazal
Chala hai le ke mujhe zauq-e-justuju mera
Ravish Siddiqi