chala-chal mohlat-e-aram kya hai
musafir aur tera kaam kya hai
hamara wasta hai un ke Dar se
hamein sare jahan se kaam kya hai
tumhaara husn to hai ghair-fani
hamare ishq ka anjam kya hai
KHuda ka nam lena chahta hun
magar mere KHuda ka nam kya hai
swad-e-sham-e-mai-KHana salamat
bayaz-e-jama-e-ehram kya hai
tum apne aaine se puchh lete
hamare ishq par ilzam kya hai
hamein KHud rasta chalna na aaya
faraaz o past par ilzam kya hai
suno ai aashiyan ke KHushk tinko
bahaar-e-bagh ka paigham kya hai
KHirad ke masale hal karne walo
tumhein mere junun se kaam kya hai
KHabar KHud mauj-e-tufan ko nahin hai
safine ka mere anjam kya hai
ba-rah-e-rast un ko mangta hun
takalluf ka dua mein kaam kya hai
had-e-parwaz jab simTi to samjhe
qafas kya aashiyan kya dam kya hai
'saba' tark-e-mohabbat kar rahe ho
mohabbat se zaruri kaam kya hai
Ghazal
Chala-chal mohlat-e-aram kya hai
Saba Akbarabadi