chal raha hun pesh-o-pas-manzar se uktaya hua
ek se din raat ke chakkar se uktaya hua
be-dili hoshyar pahunchi mujh se pahle thi wahan
mein gaya jis anjuman mein ghar se uktaya hua
ho nahin paya hai samjhauta kabhi donon ke bich
jhuT andar se hai sach bahar se uktaya hua
ab muzayyan hai talaffuz se awamunnas ke
sher sarf-o-nahw ke chakkar se uktaya hua
KHwahish-e-ijad hai apne maani ki use
lag raha ye feal hai masdar se uktaya hua
chubh rahe hain aankh mein KHwab-e-pareshan raft ke
jism hai is nind ke bistar se uktaya hua
umr lekin raegan ki us ke jama o KHarch mein
tha hamesha zehn chize-zar se uktaya hua
aaj phir paDhta hun maktab mein nae ustad se
kal tha jin asbaq ke azbar se uktaya hua
zat apni in mein rakhta hun barabar munqasim
dil mera hai bahs-e-KHair-o-shar se uktaya hua
Ghazal
Chal raha hun pesh-o-pas-manzar se uktaya hua
Ejaz Gul