chal paDe to phir apni dhun mein be-KHabar barson
lauT kar nahin dekha hum ne apna ghar barson
jada-e-hawadis mein chal ke dekh le koi
kaise tai kiya hum ne maut ka safar barson
barg-o-bar par us ke haq nahin hamara hi
apne KHun se sincha hum ne jo shajar barson
jo sadaf samundar ki tah mein chhan sakte the
DhunDte rahe wo bhi ret mein guhar barson
dosto zarurat par kaam aa gaya apne
dushmanon se sikha tha hum ne jo hunar barson
jab mile rafiqon se zaKHm hi mile hum ko
be-sabab raha dil mein dushmanon ka Dar barson
wo bhi kya ajab din the shauq-e-rah-nawardi mein
hum ne bhi zamane ki sair ki 'zafar' barson
Ghazal
Chal paDe to phir apni dhun mein be-KHabar barson
Zafar Kaleem