chal diya wo us tarah mujh ko pareshan chhoD kar
mausam-e-gul jaise jae hai gulistan chhoD kar
go bharosa hai mujhe apne KHulus-e-shauq par
kaun aaega yahan jashn-e-bahaaran chhoD kar
wo jo apne sath laya tha gulistan ki bahaar
ja raha hai ab kahan wo ghar ko viran chhoD kar
yun laga mujh ko ki goya hashr barpa ho gaya
yak-ba-yak wo chal diya mera shabistan chhoD kar
mujh ko shauq-e-husn mein tahzib hazir chahiye
gulistan mein aa gaya hun main bayaban chhoD kar
lala-o-gul mein ayan hain husn-e-fitrat ke rumuz
mutmain hun ishq mein dasht-o-bayaban chhoD kar
yun sar-e-mahfil waqar-e-husn ko ruswa na kar
us ka daman tham le apna gareban chhoD kar
ji raha hun rashk ke mahaul mein kuchh is tarah
jis tarah yusuf gaya tha arz-e-kanan chhoD kar
main ne KHud us ke tasawwur ko bulaya hai yahan
ab nahin jaunga bahar ghar mein mehman chhoD kar
ho gaya paida nizam-e-gul mein behad intishaar
jab gaya gulshan mein wo zulfen pareshan chhoD kar
sozish-e-ulfat mujhe matlub hai bahr-e-hayat
ho gaya hun mutmain main rasm-e-darman chhoD kar
kis qadar zabt-e-junun ne kar diya hai hoshiyar
daman-e-ummid thama hai gareban chhoD kar
main talash-e-husn se aisa hua hun munsalik
ja raha hun zindagi ka saz-o-saman chhoD kar
Ghazal
Chal diya wo us tarah mujhko pareshan chhoD kar
Zahid Chaudhry