chal diya wo dekh kar pahlu meri taqsir ka
dusra ruKH us ne dekha hi nahin taswir ka
baqi sare KHat pe dhabbe aansuon ke rah gae
ek hi jumla paDha main ne teri tahrir ka
tu ne kaise lafz honTon ki kaman mein kas liye
itna gahra ghaw to hota nahin hai tir ka
uzr baqi chaal mein hai qaid go baqi nahin
panw aadi ho gaya hai is qadar zanjir ka
aa gai kashti bhaTak kar aab se su-e-sarab
bhar gaya reg-e-rawan se jal mahi-gir ka
baat chhoTi to nahin tujh se bichhaDne ki hai baat
faisla taslim kar lun kis tarah taqdir ka
yar logon ne use katba bana Dala 'adim'
aaKHiri patthar bacha jo umr ki tamir ka
doston se bhi talluq ban gaya hai wo 'adim'
jo talluq hai kisi shamshir se shamshir ka
zahr ki aankhon mein raushan suraten do hain 'adim'
shakl ek suqraat ki aur ek chehra hir ka
Ghazal
Chal diya wo dekh kar pahlu meri taqsir ka
Adeem Hashmi