اردو हिंदी
Chal diya naz zamane ke uThane wala | Shaahi Shayari
chal diya naz zamane ke uThane wala

Ghazal

Chal diya naz zamane ke uThane wala

Ghausiya Khan Sabeen

;

chal diya naz zamane ke uThane wala
sare ghar le gaya ghar chhoD ke jaane wala

aankh pur-nam hai yahi soch ke ahl-e-dil ki
lauT kar ab nahin aaega hansane wala

baat to karte hain sab log wafa ki lekin
kis ne dekha hai kahan par hai nibhane wala

ab pareshan sa phirta hai zamane bhar mein
zaKHm-e-dil par mere tezab lagane wala

shukr-e-rab hai meri phulon pe guzari us ne
aag pe soya hai barud bichhane wala

hum ne dekha hai shab-o-roz zamane mein 'sabin'
surKH-ru hota hai sajdon ko sajaane wala