chain paDta hai dil ko aaj na kal
wahi uljhan ghaDi ghaDi pal pal
mera jina hai sej kanTon ki
un ke marne ka nam taj-mahal
kya suhani ghaTa hai sawan ki
sanwari nar madh-bhari chanchal
na hua rafa mere dil ka ghubar
kaise kaise baras gae baadal
pyar ki ragni anokhi hai
us mein lagti hain sab suren komal
bin piye ankhDiyan nashili hain
nain kale hain tere bin kajal
mujhe dhoka hua ki jadu hai
panw bajte hain tere bin chhagal
lakh aandhi chale KHayaban mein
muskuraate hain taqchon mein kanwal
lakh bijli gire gulistan mein
lahlahati hai shaKH mein konpal
khil raha hai gulab Dali par
jal rahi hai bahaar ki mashal
kohkan se mafar nahin koi
be-sutun ho kahin ki bindhiyachal
ek din pattharon ke bojh tale
KHud-baKHud gir paDenge raj-mahal
dam-e-ruKHsat wo chup rahe 'abid'
aankh mein phailta gaya kajal
Ghazal
Chain paDta hai dil ko aaj na kal
Syed Aabid Ali Aabid