chain ho ya bechaini ho pahle dil ghabraega
jate jate jaegi aate aate aaega
qasid aane jaane mein thak thak kar ghabraega
jaega phir aaega aaega phir jaega
DhunDne wali nazron nazron dekhenge pahlu ki taraf
un ki is dil-jui par mera dil itraega
dil mein ummiden lakhon thin kuchh niklin hain kuchh baqi hain
KHair kabhi phir aaoge phir kabhi dekha jaega
dair-o-haram ke malik se hum kuchh mangen bhi to sahi
hai wo baDa dene wala dega ya dilwaega
dil ke KHud aazar-o-alam dil ki qadr baDhaenge
hoga ye iksir magar KHak mein jab mil jaega
naseh aane wala hai do hi baaten honi hain
ya use hum samjhaenge ya wo hamein samjhaega
shikwa-e-gham ki mahshar mein hum ko to ummid nahin
samne wo aa jaenge hosh kise rah jaega
dil dene wala gham se chhuT jaega dil de kar
dil lene wala dil mein dil le kar pachhtaega
'nuh' ke rone par hansna bedardon ka KHwab nahin
bahr-e-mohabbat mein is se aur bhi tufan aaega
Ghazal
Chain ho ya bechaini ho pahle dil ghabraega
Nooh Narvi