chain ghar mein na kabhi tere nagar mein paun
KHud ko har lamha main ek lambe safar mein paun
koi aawaz na saya na hawa mein halchal
mo'tariz soch mein kya baiTh ke ghar mein paun
tu kabhi phul kabhi chandni tha mere liye
ab tujhe pairhan-e-barq-o-sharar mein paun
main kahin jism kahin aur meri ruh kahin
KHud ko bikhra hua har rahguzar mein paun
mujh se har lamha koi jurm naya hota hai
ek na ek hadisa har taza KHabar mein paun
main gawahi pe to tayyar hun KHud apne KHilaf
waqat-e-adl jo munsif ki nazar mein paun
Ghazal
Chain ghar mein na kabhi tere nagar mein paun
Roohi Kanjahi