chahchahati chand chiDiyon ka basar tha peD par
mere ghar ek peD tha aur ek ghar tha peD par
mausam-e-gul tu ne socha hai ki us ka kya bana
tere lams-e-mehrban ka jo asar tha peD par
ab hawa ke hath mein tu ek tamasha ban gaya
zard sa patta sahi main mo'tabar tha peD par
is liye mera parindon se lagaw hai bahut
main bhi to koi zamana peshtar tha peD par
is dafa to fasl-e-gul ke sath aain aandhiyan
uD gaya sab jo mere KHwabon ka zar tha peD par
Ghazal
Chahchahati chand chiDiyon ka basar tha peD par
Sajjad Baluch