chaDhte tufan ko sahil se guzarna tha miyan
rit ke ghar ko bahar-haal bikharna tha miyan
kab talak panw ko toDe hue baiTha rahta
rah-e-dushwar se rah-raw ko guzarna tha miyan
itne manus the sayyaad se jate na kahin
qaid mein par na parindon ke katarna tha miyan
jab na samjhe to phir ab chheD ke pachhtana kya
chashm-e-namnak mein ubla hua jharna tha miyan
ishq ke gahre samundar mein gae kyun 'anwar'
uthle pani mein agar Dub ke marna tha miyan
Ghazal
ChaDhte tufan ko sahil se guzarna tha miyan
Anwar Jamal Anwar