اردو हिंदी
ChaDhte hue dariya ki alamat nazar aae | Shaahi Shayari
chaDhte hue dariya ki alamat nazar aae

Ghazal

ChaDhte hue dariya ki alamat nazar aae

Raza Hamdani

;

chaDhte hue dariya ki alamat nazar aae
ghusse mein wo kuchh aur qayamat nazar aae

gum apne hi sae mein hain haT jaen to shayad
khoya hua apna qad-o-qamat nazar aae

kya qahr hai har sine mein ek hashr bapa hai
ik-adh gireban to salamat nazar aae

kuche se tere nikle to sab shahr tha dushman
har aankh mein kuchh sang malamat nazar aae

hum kaise ye samjhen ki pasheman hai qatil
chehre pe na jab harf-e-nadamat nazar aae

hum morid-e-ilzam samajhte rahe un ko
dekha to 'raza' hum hi malamat nazar aae