chaDhte dariya se bhi gar par utar jaoge
panw rakhte hi kinare pe bikhar jaoge
waqt har moD pe diwar khaDi kar dega
waqt ki qaid se ghabra ke jidhar jaoge
KHana-barbaad samajh kar hamein Dhalti hui raat
tanz se puchhti hai kaun se ghar jaoge
sach kaho sham ki aawara hawa ke jhonko
us ki KHushbu ke taaqub mein kidhar jaoge
aage baDh jaenge phir donon hi chup chup yun to
main pukarunga tumhein tum bhi Thahar jaoge
zabt-e-ehsas ke zindan se kahin bhag chalo
aur kuchh der yahan Thahre to mar jaoge
naqsh-e-imroz se aage na nigahen dauDao
kal ki taswir jo dekhoge to Dar jaoge
main bhi saya hun siyah raat mein kho jaunga
tum bhi ek KHwab ho pal-bhar mein bikhar jaoge
raste shahr ke sab band hue hain tum par
ghar se nikaloge to 'maKHmur' kidhar jaoge
Ghazal
ChaDhte dariya se bhi gar par utar jaoge
Makhmoor Saeedi