chaDhta suraj uDta baadal bahta dariya kuchh bhi nahin
sara tamasha mere liye hai lekin mera kuchh bhi nahin
un ki nannhi ungli to ab computer se khele hai
aaj ke bachchon ki nazron mein chanda-mama kuchh bhi nahin
mere pyase honTon hi se bas dariya ki qimat hai
tishna-labi ka mul hai sara warna dariya kuchh bhi nahin
us ne hum ko haldi kya di hum pansari ban baiThe
lene wale malik Thahre dene wala kuchh bhi nahin
tera mera karte karte umr guzari jati hai
sach to ye hai tera mera mera tera kuchh bhi nahin
hum nazron nazron mein apne dil ka sauda kar baiThe
socha-samjha kuchh bhi nahin aur dekha-bhaala kuchh bhi nahin
in rishton ki bhiD mein akasr mujh ko aisa lagta hai
sari duniya apni sagi hai lekin apna kuchh bhi nahin
lakh karen hum sajda zamin par lakh jabin ko ghis Dalen
saf na ho gar niyyat 'gauhar' to phir sajda kuchh bhi nahin
Ghazal
ChaDhta suraj uDta baadal bahta dariya kuchh bhi nahin
Tanweer Gauhar