chaDhi tere bimar-e-furqat ko tab hai
bashiddat qalaq hai nihayat tab hai
mariz-e-mohabbat tera jaan-ba-lab hai
tajahul sitam hai taghaful ghazab hai
wo aafat hai aafat hai aafat hai aafat
ghazab hai ghazab hai ghazab hai ghazab hai
gali yar ki hai qadam rakhkhun kyun-kar
chalun sar ke bal yan maqam-e-adab hai
jo abru dikhaya to aariz bhi dikhla
wo quran hai ye hilal-e-rajab hai
hui subh-e-piri kaTi ab jawani
ye jalna faqat shama-san shab ki shab hai
wo zulf-e-siyah hai ki mushk-e-KHutan hai
nahin KHat sawad-e-dayar-e-halab hai
khula kuchh na mujh par na aane ka mansha
jihat kuchh to farmaiye kya sabab hai
jo shajara tha majnun ka shajara hai mera
jo tha qais ka silsila wo nasab hai
ghanimat samajh waqt-e-fursat ko ghafil
na hath aaega phir ye mauqa jo ab hai
KHuda ki KHudai ka jalwa hai o but
ye husn-e-jawani nahin shan-e-rab hai
karun kyun na saman-e-ishrat muhayya
shab-e-wasl-e-dilbar urusi ki shab hai
jise log kahte hain shah-e-KHurasan
wo be-shubah ibn-e-amir-e-arab hai
ghulam us ka hun jo hai kausar ka saqi
jabhi 'rind' mai-KHwar mera laqab hai
Ghazal
ChaDhi tere bimar-e-furqat ko tab hai
Rind Lakhnavi