chaDha kar tir nazron ki kaman par
hasinon ke qadam hain aasman par
har ek lamha lage wo aa rahe hai
yaqin baDhta hi jata hai guman par
koi wada wafa ho jae shayad
bharosa aaj bhi hai jaan-e-jaan par
utarti hi nahin boson ki lazzat
abhi tak swad rakkha hai zaban par
kisi ki ruh pyasi rah na jae
lihaza gham baraste hai jahan par
agar bhaTka to us ko chhoD denge
nazar rakkhe hue hain karwan par
aman hum bhi kirae-dar hi hain
bhale hi nam likkha hai makan par
Ghazal
ChaDha kar tir nazron ki kaman par
Navin C. Chaturvedi