chaDha hua hai jo dariya utarne wala hai 
ab is kahani ka kirdar marne wala hai 
ye aagahi hai kisi hadse ke aamad ki 
badan ka sara asasa bikharne wala hai 
zara si der mein zanjir TuT jaegi 
junun apni hadon se guzarne wala hai 
suna hai shahar mein aaya hai jadu-gar koi 
tamam shahr ko taswir karne wala hai 
tamam shahr banaya gaya hai aaina 
ye aaj kis ka sarapa sanwarne wala hai 
'shakil' hum se kisi ko shikayaten hain bahut 
chalo koi to hamein pyar karne wala hai
        Ghazal
ChaDha hua hai jo dariya utarne wala hai
Shakeel Azmi

