chaaron taraf se maut ne ghera hai zist ko
aur us ke sath hukm ki ab zindagi karo
bahar gali mein shor hai barsat ka suno
kunDi laga ke aaj to ghar mein paDe raho
chhoD aae kis ki chhat pe jawan-sal chand ko
KHamosh kis liye ho sitaro jawab do
kyun chalte chalte ruk gae viran rasto
tanha hun aaj main zara ghar tak to sath do
jis ne bhi muD ke dekha wo patthar ka ho gaya
nazren jhukae dosto chup chup chale chalo
allah rakkhe teri sahar jaisi kam-sini
dil kanpta hai jab bhi tu aati hai sham ko
viran chaman pe roi hai shabnam tamam raat
aise mein koi nannhi kali muskurae to
'adil' hawaen kab se bhi deti hain dastaken
jaldi se uTh ke kamre ka darwaza khol do
Ghazal
Chaaron taraf se maut ne ghera hai zist ko
Adil Mansuri