chaaron taraf KHala mein hai gahra ghubar sa
phir bhi kahin pe hai yunhi kuchh aashkar sa
kya phuTta hai dil ki zamin se ba-rang-e-gham
kya tairta hai aankh mein naqsh-e-bahaar sa
bikhre hain mere gird nishan-e-qadam mere
khincha hai main ne apne liye bhi hisar sa
fursat jo ho to khul ke baras meri KHak par
ban jaun main bhi ek shajar saya-dar sa
tanha daraKHt main bhi hun us ke kanar mein
wo bhi mere qarib hai ek juebar sa
'ishrat' udas taq pe ye zard-ru charagh
tanhaiyon mein meri hai ek gham-gusar sa
Ghazal
Chaaron taraf KHala mein hai gahra ghubar sa
Ishrat Zafar