اردو हिंदी
Chaaron taraf hai KHun ka dariya chaDha hua | Shaahi Shayari
chaaron taraf hai KHun ka dariya chaDha hua

Ghazal

Chaaron taraf hai KHun ka dariya chaDha hua

Maratib Akhtar

;

chaaron taraf hai KHun ka dariya chaDha hua
kashmir sar-zamin-e-muqaddas rodesia

chae ki pyaliyon se uThegi nai mahak
be-barg Tahniyon pe naya rang aaega

jine ki ek umang jo kal thi so ab bhi hai
marne ka waqt aaj bhi hai kal bhi aaega

patto mujhe lapeT lo apni ridaon mein
main wo daraKHt hun jise kuchh bhi nahin mila

shishon ki tarah TuT gain sab haqiqaten
patthar pighal ke bahne laga injimad ka