chaaron or ab phul hi phul hain kya ginte ho daghon ko
ho taufiq to dil se lagao in nau-rusta baghon ko
jalte sahra ki maujon par girte-paDte rah-raw hain
chashma-e-azadi ke jo ab tak DhunDh rahe hain suraghon ko
baad-e-hawadis ke shahpar KHud un ko rah dikhate hain
waqt ke dhaare par chhoDa hai hum ne aise charaghon ko
kunj-e-qafas go kunj-e-qafas hai lekin ab ke bahaaran mein
hum ne mahakta paya josh-e-tasawwur-e-gul se dimaghon ko
subh-e-roz-e-adam-e-nau hai dhum machi hai ghar ghar mein
sathiyo uTTho subuhi se chalkaen bhar ke ayaghon ko
Ghazal
Chaaron or ab phul hi phul hain kya ginte ho daghon ko
Safdar Meer