chaaron jaanib pagal-KHane lagte hain
mausam aise hosh uDane lagte hain
malba girne lagta hai sab kamre ka
jab teri taswir jalane lagte hain
ghabra ke is daur ke wahshi insan se
diwaron ko raaz batane lagte hain
aankh uTha kar jab bhi dekhun peDon ko
mujh ko mere dost purane lagte hain
zehn mein mazi jab bhi ghumne lagta hai
aankh mein kitne aansu aane lagte hain
dil ke hathon ho ke hum majbur sada
armanon ki lash uThane lagte hain
patthar jaisi duniya hai KHud-gharzi hai
us ko kyun kar dard sunane lagte hain
sath mere wo mil kar chand sitare bhi
hijr mein tere nir bahane lagte hain
yar 'nabil' unhen main jitna bhulta hun
mujh ko yaad wo utna aane lagte hain
Ghazal
Chaaron jaanib pagal-KHane lagte hain
Nabeel Ahmad Nabeel