اردو हिंदी
Chaaragaron ne bandh diya mujhko baKHt se | Shaahi Shayari
chaaragaron ne bandh diya mujhko baKHt se

Ghazal

Chaaragaron ne bandh diya mujhko baKHt se

Ahmad Faqih

;

chaaragaron ne bandh diya mujh ko baKHt se
chhanw mili na mujh ko dua ke daraKHt se

baiTha tha main hisar-e-falak mein zamin par
dushman ne fath khinch li meri shikast se

main bhi to tha farefta KHud apne-ap par
shikwa karun main kya dil-e-nargis-parast se

girya ki saltanat mujhe degi shikast kya
chhini hai main ne zindagi pani ke taKHt se

harf-e-dua pe gosh-bar-awaz ho wo kyun
dil se kalam hota hai maston ke mast se

hamd-o-sana suKHan ka nahin dil ka hai riyaz
kaise sana karun main dil-e-laKHt-laKHt se

ahl-e-KHirad ise na samajh paenge 'faqih'
kuchh masale hain mawara fath o shikast se