chaaragar chup hain kyun ilaj karen
kuchh to apne kiye ki laj kar
un se kis ne kaha tha wo mujh ko
fard-e-hasti mein indiraj karen
rose khaTka sa dil mein rahta hai
dekhiye kya wo hukm aaj karen
fursat-e-zist kam hi kaam bahut
kal jo karna hai hum ko aaj karen
chaaragar bhi na kya karenge yaad
kar saken jis qadar ilaj karen
sab usi ki si kah rahe hain 'aziz'
kis se hum arz-e-ehtiyaj karen
Ghazal
Chaaragar chup hain kyun ilaj karen
Aziz Lakhnavi