اردو हिंदी
Chaara-farmai-e-dil rasm-e-butan hai to sahi | Shaahi Shayari
chaara-farmai-e-dil rasm-e-butan hai to sahi

Ghazal

Chaara-farmai-e-dil rasm-e-butan hai to sahi

Nihal Sevharvi

;

chaara-farmai-e-dil rasm-e-butan hai to sahi
abhi kuchh mehr-o-mohabbat ka nishan hai to sahi

naqsh-e-pa tera hai gar tu nahin ai hashr-KHiram
ek na ek bais-e-ashob-e-jahan hai to sahi

aap se aap to paida nahin ye lala-o-gul
koi aaKHir chaman-ara-e-jahan hai to sahi

ye bhi kahte hain ki hai arz-e-tamanna be-sud
ye bhi kahte hain tere munh mein zaban hai to sahi

jalwa-e-dost ko samjha nahin ye baat hai aur
jalwa-e-dost muhit-e-dil-o-jaan hai to sahi

chahiye aur tujhe kya pae-hangama-e-husn
tere qurban ye sab kaun-o-makan hai to sahi

hum ne mana ki nahin 'haali' o 'majruh' 'nihaal'
'mir' o 'ghaalib' ka ye ejaz-e-bayan hai to sahi