chaar-su phaila hua kar-e-jahan rahne diya
ruk gae hum aur har shai ko rawan rahne diya
apne gumbad mein kahan se aaegi taza hawa
ek daricha bhi khula hum ne kahan rahne diya
baal-o-par qaem the sabit himmat-e-parwaz thi
kuchh zamin ras aa gai bas aasman rahne diya
roz-e-raushan aaj suraj ne kiya goya kamal
barf-saman qatra qatra aasman rahne diya
hum ne apne waste bas ek jazira chun liya
aur bahr-e-be-karan ko be-karan rahne diya
zindagani ho gai gosha-nashini mein tamam
mil to sakta tha magar sara jahan rahne diya
apni qismat ke liye wo ek sitara tha bahut
dastaras to thi magar sab aasman rahne diya
kuchh mizaj apna hi tha 'betab' un sab se juda
bas akele chal diye hum karwan rahne diya

Ghazal
Chaar-su phaila hua kar-e-jahan rahne diya
Pritpal Singh Betab