chaar su hasraton ki pahnai
zindagi kis taraf chali aai
aa gham-e-zindagi kahan hai tu
aarzu le rahi hai angDai
phir wahi tira-baKHtiyan apni
phir shab-e-gham hai aur tanhai
ghaur kije to yaad aaega
thi kabhi aap se shanasai
jaiye aap koi baat nahin
aankh thi be-KHudi mein bhar aai
ibtilaon mein kya ghire 'safdar'
zindagi ki rawish hi gahnai

Ghazal
Chaar su hasraton ki pahnai
Safdar Khursheed