اردو हिंदी
Chaar-su hai baDi wahshat ka saman | Shaahi Shayari
chaar-su hai baDi wahshat ka saman

Ghazal

Chaar-su hai baDi wahshat ka saman

Fahmida Riaz

;

chaar-su hai baDi wahshat ka saman
kisi aaseb ka saya hai yahan

koi aawaz si hai marsiyan-KHwan
shahr ka shahr bana goristan

ek maKHluq jo basti hai yahan
jis pe insan ka guzarta hai guman

KHud to sakit hai misal-e-taswir
jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan

koi chehra nahin juz zer-e-naqab
na koi jism hai juz be-dil-o-jaan

ulma hain dushman-e-fahm-o-tahaqiq
kodani shewa-e-danish-mandan

shair-e-qaum pe ban aai hai
kizb kaise ho tasawwuf mein nihan

lab hain masruf-e-qasida-goi
aur aankhon mein hai zillat uryan

sabz KHat aaqibat-o-din ke asir
parsa KHush-tan-o-nau-KHez jawan

ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shiar
yas-o-hasrat se hui hai hairan

kis se ab aarzu-e-wasl karen
is KHarabe mein koi mard kahan