اردو हिंदी
Chaar-su aalam-e-imkan mein andhera dekha | Shaahi Shayari
chaar-su aalam-e-imkan mein andhera dekha

Ghazal

Chaar-su aalam-e-imkan mein andhera dekha

Auj lakhnavi

;

chaar-su aalam-e-imkan mein andhera dekha
tu jidhar hai usi jaanib ko ujala dekha

us pe qurban ki jis ne teri aawaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tera jalwa dekha

KHalwat-e-quds ki be-parda tajalli ko na puchh
shauq-e-nazzara mein sirf aankh ka parda dekha

aankh jab band hui khul gaya raaz-e-qudrat
shan-e-mabud andhere mein ujala dekha

parda uTh jaega jab ru-e-tajalli se kalim
aap KHud munh se kahenge ki abhi kya dekha

ru-e-gul rang-e-KHizan josh-e-junun fasl-e-bahaar
chaar din ke liye is bagh mein kya kya dekha

'auj' kaj-baKHti-e-arbab-e-suKHan se kya bahs
daman-e-gul kabhi kanTon mein na uljha dekha