chaar jaanib se sada aai meri
shoabada ban gai tanhai meri
maut ko jab se muqabil dekha
zindagi ho gai shaidai meri
ab bhi yaran-e-girafta-dil ko
yaad hai anjuman-arai meri
lab-kushai se mili rifat-e-dar
kis bulandi pe hai goyai meri
raat phaili to sar-e-KHalwat-e-gham
be-karan ban gai tanhai meri
subh chamki to ghubar-e-shab se
be-muhabana sada aai meri
umr bhar mera muKHatib wo tha
baat jis ko na samajh aai meri
dil-e-nadan ne Duboya 'mohsin'
kaam kuchh aai na danai meri
Ghazal
Chaar jaanib se sada aai meri
Mohsin Ehsan