chaar-din ko hai yahan shart-e-iqamat kya kya
fursat-e-zist mein shamil hai musibat kya kya
sar-phire log hain hum apne junun ki rau mein
soch lete hain dil-e-zar ki qimat kya kya
wo to kahiye ki guzar kar KHas-o-KHashak hue
warna sangin thi haalat ki surat kya kya
aaj mushkil hai bahut wada-e-farda pe yaqin
aur kal dosh pe aaegi nadamat kya kya
tum to kya ho sar-e-diwar-e-zamana 'KHurshid'
raegan ho ke miTa naqsh-e-fazilat kya kya
Ghazal
Chaar-din ko hai yahan shart-e-iqamat kya kya
Khursheed Rizvi