chaar din hai ye jawani na bahut josh mein aa
ai but-e-mast-e-mai-husn zara hosh mein aa
dil ye kahta hai jo wo sham-e-ezar aa nikle
ban ke fanus pukarun mere aaghosh mein aa
qadam-e-yar ka aawaza har ek gul par hai
amn chahe jo KHizan se meri pa-posh mein aa
mere sheron ke jo mushtaq hain farmate hain
dur-e-mazmun sadaf-e-lab se nikal gosh mein aa
be-qarar aise sitare durr-e-ghaltan ho jaen
aap jhamki se jo farmaen naya gosh mein aa
pir hun bojh mohabbat ka uThaun kyunkar
phir jawani ko pukaron ki baru dosh mein aa
basar-e-pir-e-mughan ruh tu hi hi ai ruh
jald shishe se nikal jism-e-qadh-e-nosh mein aa
baiTh kar yar ke pahlu mein jo uThta hun kabhi
pa-e-KHwabida ye kahta hai mujhe hosh mein aa
roz-e-bad ek na ek din tujhe nangiya lega
ai zari-posh hum ahbab-e-namad-posh mein aa
dagh ho jaega ye taj zari ka ai shama
ji jalane ko na KHuban-e-zari-posh mein aa
neamat-e-ghaib se kahti hai muhawwis ki hawa
uD ke jauhar ki tarah deg se sar-posh mein aa
dagh hain ek ke par kale bhaDak uThenge
dekh o fasl-e-bahaari na bahut josh mein aa
naql-e-mahfil nazar aata nahin koi hum mein
shaiKH masjid se nikal bazm-e-nai-o-nosh mein aa
wasl mein fasl na baqi rahe ai jaan-e-jahan
jaise pahlu mein hai dil yun mere aaghosh mein aa
hath aaega muqarrar wo ghazal-e-wahashi
'bahr' charti hai kahan aql zara hosh mein aa
Ghazal
Chaar din hai ye jawani na bahut josh mein aa
Imdad Ali Bahr