اردو हिंदी
Chandni shab bhar Tahalti chhat pe tanha rah gai | Shaahi Shayari
chandni shab bhar Tahalti chhat pe tanha rah gai

Ghazal

Chandni shab bhar Tahalti chhat pe tanha rah gai

Jafar Sahni

;

chandni shab bhar Tahalti chhat pe tanha rah gai
pyar ki har yaad-e-rangin be-sahaara ho gai

josh dariya ka bana tha qahr kashti ke liye
bebasi mein na-tawan patwar ruswa ho gai

dastan-e-zindagi ki jab kiran KHamosh thi
tab hawa bhi sun ke chup sara fasana rah gai

phul patte jab chaman se dar-ba-dar hone lage
pur sakun sarsabz duniya ban ke sahra rah gai

har gali mein lutf ka dariya rawan tha 'sahni'
meri KHwahish aisi rut mein phir bhi tanha rah gai