chandni raat mein shanon se Dhalakti chadar
jism hai ya koi shamshir nikal aai hai
muddaton baad uThae the purane kaghaz
sath tere meri taswir nikal aai hai
kahkashan dekh ke aksar ye KHayal aata hai
teri pazeb se zanjir nikal aai hai
sehn-e-gulshan mein mahakte hue phulon ki qatar
tere KHat se koi tahrir nikal aai hai
chand ka rup to ranjhe ki nazar mange hai
ren-Doli se koi hir nikal aai hai
Ghazal
Chandni raat mein shanon se Dhalakti chadar
Sabir Dutt