chandni raat mein ek bar use dekha tha
chand se bar-sar-e-paikar use dekha tha
misl-e-KHurshid numudar wo ab tak na hua
aaKHiri bar sar-e-ghaar use dekha tha
main bhala kaise bayan karta sarapa us ka
shab-e-yalda pas-e-diwar use dekha tha
dil mein utri hi na thi raushni us manzar ki
awwalin bar to bekar use dekha tha
log kyun koh o bayaban mein use DhunDte hain
main ne to bar-sar-e-bazar use dekha tha
us ne kya raat ko dekha tha ye malum nahin
main ne to naqsh-ba-diwar use dekha tha
us ki aankhon mein chamak KHwab ki ye kaisi hai
raat bhar charKH ne bedar use dekha tha
Ghazal
Chandni raat mein ek bar use dekha tha
Rafiq Raaz