chandni raat hai udasi hai
koi chandi ho mail deti hai
us ke Dar hi se main mohazzab hun
mere andar jo ek wahshi hai
sham ko roz us se milta hun
raat tanha udas kaTti hai
log hans-bol kar chale bhi gae
mez par chae ab bhi rakkhi hai
zindagi yun bhi zindagi Thahri
kaTte kaTte bhi der lagti hai
zalimo mujh ko dekh lene do
Thahar jao ye us ki basti hai
aao un se bhi mil hi len 'abid'
ek duniya to hum ne dekhi hai
Ghazal
Chandni raat hai udasi hai
Abid Siddiq