chandni-raat hai taron ka saman baqi hai
tujh se mil mil ke bichhaDne ka guman baqi hai
ab to bas nam hai ya sang-e-nishan baqi hai
kaisi basti hai makin hain na makan baqi hai
aatish-e-ishq bujhe ek zamana guzra
rakh ke Dher tale ab bhi dhuan baqi hai
kitni sadiyon se to sargarm-e-amal hai duniya
us ke ba-wasf magar kar-e-jahan baqi hai
har taraf aam hai insan ki tabahi ka chalan
kya kahin dahr mein ab ja-e-aman baqi hai
Ghazal
Chandni-raat hai taron ka saman baqi hai
Noor muneeri