chandni ne raat ka mausam jawan jaise kiya
hum ne bhi chehra farozan shisha-e-mai se kiya
pas-e-KHuddari to hai lekin wafa-dushman nahin
tum ne hum par tark-e-ulfat ka guman kaise kiya
hum gunahon ki shariat se hue jab aashna
jism ne jo faisla jaise diya waise kiya
is liye ab Dubne ke KHauf se hain be-niyaz
hum ne aaghaz-e-safar dariyaon ki tah se kiya
raushni apni luTai hum ne suraj ki tarah
andhi raaton mein ujala mashal-e-lai se kiya
jab shuur aaya to 'farigh' wusat-fan ke liye
istifada hum ne duniya ki har ek shai se kiya
Ghazal
Chandni ne raat ka mausam jawan jaise kiya
Farigh Bukhari