chandni mein ruKH-e-zeba nahin dekha jata
mah o KHurshid ko yakja nahin dekha jata
yun to un aankhon se kya kya nahin dekha jata
han magar apna hi jalwa nahin dekha jata
dida-o-dil ki tabahi mujhe manzur magar
un ka utra hua chehra nahin dekha jata
zabt-e-gham han wahi ashkon ka talatum ek bar
ab to sukha hua dariya nahin dekha jata
zindagi aa tujhe qatil ke hawale kar dun
mujh se ab KHun-e-tamanna nahin dekha jata
ab to jhuTi bhi tasalli ba-sar-o-chashm qubul
dil ka rah rah ke taDapna nahin dekha jata
Ghazal
Chandni mein ruKH-e-zeba nahin dekha jata
Shakeel Badayuni