chandni ka raqs dariya par nahin dekha gaya
aap yaad aae to ye manzar nahin dekha gaya
aap ke jate hi hum ko lag gai aawargi
aap ke jate hi hum se ghar nahin dekha gaya
apni sari kaj-kulahi dastan ho kar rahi
ishq jab mazhab kiya to sar nahin dekha gaya
phul ko miTTi mein milta dekh kar miTTi hue
hum se koi phul miTTi par nahin dekha gaya
jism ke andar safar mein ruh tak pahunche magar
ruh ke bahar rahe andar nahin dekha gaya
jis gada ne aap ke dar par sada di ek bar
us gada ko phir kisi dar par nahin dekha gaya
aap ko patthar lage 'jawed' ji dekha hai ye
aap ke hathon mein go patthar nahin dekha gaya
Ghazal
Chandni ka raqs dariya par nahin dekha gaya
Abdullah Javed